Sunday 29 May 2016

Seela Takiyaa

Raat kuchh saaman chhod gayi hai pichhe,
Lekin meri neendo ko lekar sath gayi,
Kion seela hai takiya... Humne to suna tha ki barsaat gayi,

Jagne walon ki koshish rahi nakaam aise,
Hairan hain ki khuli aankhon mein tere khwaab aaye kaise,

Subah hogi to fir khyaal koi naya sa hoga,
Socha tha yehi lekin...tum hi thehre ho raat se aankhon mein,
Fir kuchh aur meri aankhon se nazar aaye kaise,

Baat zamane ki iss dil ko hum samjhayein kaise,
Chahta tha ki kar luunga woh dil se har zirah,
Hum dil se... dil humse magar haar jayein kaise,

Aur 'gar haar b jaayein to ye khud ko batayein kaise,
Ki jeete koi bhi... Hamari aadaton se tu lekin jayega nahin,
Jo tujhme haara hai vo dil se bhulaayein kaise,

Kaise hoga mumkin ki iss raah se ab kahin aur mera mud jana hoga,
Hoga kuchh bhi magar naa kahin aur na kisi se mera jud paana hoga,

Hum milenge... shayad isliye hi usne abtalak bichhadne na diya
Raahein niklin thin nayi, un raahon se guzarne naa diya,

Khuda kaash ek din aisa kar jaye...
Tu maange mujhe, aur fir mujhe tu mil jaye,
Raat ho gayi bahut lambi ye... Hona chahiye ki ab yahan din khil jaye,

 Dhoop ki chaadar odhe, koi sath mere jab hoga,
Tu hoga haasil to haasil rabb hoga,

Jaane kitne tareeqon se tujhe maanga hai,
Sach bata kya tune mujhe maanga hai?
Ya shayad koi dhoka h, ya fr koi tera bahaana hai,

Thak gaya hun Mija... Ab shayad sukoon aankh moond kar hi aana hai..

2 comments: