Tuesday 30 August 2016

Tum thamm kyunn nahin jaati..

Vo nibhaati rahi hai saath mere hone se
Basi hai mujhme.. par naa jaane kis kone mein
Roz koshish karti rahi hu usey pakad lene ki..
Vo fisalti rahi..kabhi mere jagne.. to kabhi mere soney mein
Har roj aainey mein dhhuundha hai aankh bhar bhar ...
Aur chhuuti hui ko dhhuundha hai puraane khilaune mein..
Uff...tum kabhi thamm kyun nahin jaati ho
Dheere dheere chali jaati ho.. maut ke bichhaune mein ...
Ta'Umr chaaha hai tujhe ae umr ...
Tum chhod kar saath.. beet jaogi mere aakhiri baar sone mein ..

Monday 29 August 2016

Roj Thodaa Thodaa

Roj roj kahan se laaun tumhe
Roj tum thode thode kam hote jate ho
Roj sahejti hun tumhe dil ke tehkhaane mein
Roj dhoop ka tukda..churaa le jaata hai tumhe thoda
Roj ginti hun tumhare vaadon ko..raat me baithkar..
Roj neend chheen le jaati hai raat.. le aati hai din thoda
Roj sajti hain vahi mehfilein is ghar mein ab bhi..
Roj aati hain darwaajey se khushiyaan.. aur khidki se gham thoda..
Roj roti hai aankhein deewaarein dekh kar ..
Roj kam hoti hai nazar.. aur tham jata hai dil thoda ..
Roj ghuumta hai chaand aawara baadalon mein..
Roj le jaata hai sooraj udhaar maang kar din thoda ..
Roj karti hun shikwey tumse bhi ... aur khud se bhi to ..
Roj fir bhool kar giley saare..  kam kar leti hun bharam thoda ..
Roj chuskiyaan tehalti hain shaam ko usi koney mein ..
Roj aata hai khidki par panchhiyon kaa vahi jodaa

रोज रोज कहाँ से लाऊँ तुम्हें
रोज तुम थोड़े थोड़े 'कम' होते जाते हो ..
रोज सहेजती हूँ तुम्हें दिल के तहखाने में..
रोज धूप का टुकड़ा चुरा ले जाता है तुम्हें थोड़ा ..
रोज गिनती हूँ तुम्हारे वादों को..रात में बैठकर ..
रोज नींद ले जाती है रात..ले आती है दिन थोड़ा..
रोज सजती हैं वही महफिलें इस घर में अब भी ..
रोज आती हैं दरवाज़े से खुशियाँ और खिड़की से ग़म थोड़ा
रोज रोती हैं आँखें दीवारें देखकर..
रोज कम होती है नज़र और थम जाता है दिल थोड़ा ..
रोज घूमता है चाँद आवारा.. बादलों में ..
रोज ले जाता है सूरज..माँग कर अँधेरा थोड़ा ..
रोज करती हूँ शिकवे तुमसे और खुद से भी तो ..
रोज भूलकर गिले सारे .. और कम कर लेती हूँ भरम थोड़ा ..
रोज चुस्कियाँ टहलती हैं शाम को उसी कोने में ..
रोज आता है खिड़की पर पंछियों का वही जोड़ा ..

Yuu'N karna nahi'N thaa

Bezubaan si khwahishon ko pakadna nahi tha ..
Ab dekho sehami si chhip gayi hain kahin ..
Kyun aise bitaayi raat jaag kar raat bhar ..
Ab neendein dhhuundhne se nahi mil rahin hain kahin
Kyun rahne di muhabbat dil ke kisi koney mein ..
Ab chaahtein bhatak gayin hain vaapsi ki raahein kahin ..
Kyun nahi rukh mod liya vaqt rahte nahaasil tamannao'n se ..
Ab to baaki hai sirf intezaar.. aur tanhaaiyaa'n baaki hain kahin ..

Aa gayi dophar

Gungunati hui.. tumhe dhhuundhti hui dophar chali aati hai
Tum to miltey hi nahi kabhi kisi ko ..
Yhaa'n mai akela hi rehta huu'n jab jab vo aati hai ..
Ittefaaq hai zara ajeeb sa
Ke dophar ke saath hi tumhaari yaad daudti chalii aati hai ...
Mai'n darkinaar kar so jaana chahta hu'n jab jab...
Kambakht neend bhi dheere se dagaa de jaati hai....
Safed chaadar si fail jaati hai andar aur baahar ye dopharr..
Jaati hi nahii.. jab tak andheri shaam bulaane nahin aati hai