Monday 9 May 2016

Munaasib hai

Raahon ke guzarne pe gham kaisa
Aage badhna hi munasib hai

Manzilon ki chaah rahti hai sabko
Daur to aate jaate rahte hain...
Gham-E-daur bhi aana munasib hai

Tu akela kabhi tha hi nahi..
Pal pal kuchh saaye, pichha karte rahe hain
Ab un saayon ka saaya padna munasib hai

Rahi zindgi hairan, pareshaan zindgi bhar
Gar,  zindadili hi zindaa rahi 
To tera zindaa rahna munasib hai



No comments:

Post a Comment